Friday, March 7, 2008
Akele-Hum
Zindagi me ek waqt aisa aata hai,
Jab har koi aapse bichud jata hai.
Har nazar us 'Ek' ko dhundti rehti hai,
Jo aapke dil ke kareeb hota hai.
Wo Insan jab samne aaye....
To hoth muskurate hai,
Chehara Khil jata hai,
Ankhen Chamakti hai aur,
Pau khud-b-khud uski aur chale jate hai.
Na jane dil-e-nadan kyu aisa hota hai,
Ki jiske liya hum itne utsuk hote hai,
Wahi hame nazar andaz karta hai.
Wo khud nahi samazta,
Ke hum bhi uski dunya me shamil hai.
Wo khud nahi dekhta,
Ke hume bhi wohi pasand hai.
Par aab baas tanhai hai,
Kyu ki uski naukri beech me aye hai.
Door jakar hi wo samaz paye!!
Ke hamne bhi pyar me thokar khai hai!!!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment